Wednesday, March 5, 2008

ARZ KIYA HAI

Kuchh humne bhi jeene ka jaam chakha tha...
Kuchh humein bhi shayari ka shaukh chadha tha...

Do ghoont ishq ke aur nasha utar gaya,
Dhuain ke saath saath maza bhi udh gaya!

Ab hum marne ke liye jeete hain; aur jeene ke liye marte hain...
Zindagi se maut ki dua kiya karte hain

Bachpan mein bade hone ke liye beqarar the...
Budhape mein bachpan ki yaadein jiya karte hain!
***********************************************************

KHUDAHAFIZ

Khamoshi ki goonj mein,
Qayanaat ki dhool mein,
Naam ek aur jud gaya...
Aag ka dhuan reh gaya.

Dard ka bayaan nahiin,
Chot hai nishaan nahiin,
Dawa-e-maut dil ko choo gaya...
Kafiron ko rooh de gaya.

Har qadam ki aahat se,
Sab dilon ki chaahat se,
Har taranh se door ho gaya...
Tu khuda ka noor ho gaya.

*************************************************

GILA

Milke bichhadna hi duniya ka dastoor hai.
Woh waada kiya kyon jo nibhaane se majboor hai?
Zareeya banoon main - teh dili khwahish;
Yeh chiraagh zamaanon se benoor hai...

Kafiriyat humein jaise virasat mein mil gayi,
Jism ki nas nas ke khoon ko mal gayi.
Palkon ka pehra utthayein kaise, Haya?
Har jaganh unhika paakeeza suroor hai...

Sare-aam apna haq qaraar doon,
Tareeqa yeh humein kabhi qabool hi na hua!
Tauba karoon ya sajde karoon main;
Dil mein khayal yeh jo ikhteyaar hua...

Ghalat fehmi ka shikaar yeh beemaar dil,
Na humaara raha, aapka toh kabhi na hua!
Apne hi aansoo pi pi ke zinda hai;
Gunaahe pyaar ka yeh kasoorwaar hua...
*************************************************

NASEEB-E-AKHIRIYAT

Hasrat-e-maut bhi chaukhat tak aake mud gayi;
Zyarat ho aapki yeh dil ne tamanna hi na ki...
Aur aaj jo barzakh bani hai yeh zamin,
Meri mayyat utthayein hain aap kaandhe pe!

Chalo, jaan yeh ghurbat mein barbaad hi sahi;
Pade toh qadam barkat ke ghareeb-khaane mein...
Maana iss din ko dekhne ko main zinda na rahi,
Farsh-e-aza toh bichhi hai mere darwaaze pe!!!

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

GLOSSARY

Bayaan:Statement/Record
Kafiron:Non-believers/Aheists/Pagans

Zariya:Medium
Kafiriyat:Atheism
Mal:Dirtied
Pehra:guard
Paakeeza:Puritan
Suroor:Aura
Qaraar:Claim
Tareeqa:Method
Qabool:Accepted
Sajde:Kneel one's head at someone's feet
Ikhtayar:Shaping of an idea (in this context)
Kasoorwar:Guilty

Hasrat-e-maut:Wish for death
Chaukhat:Threshold
Zyarat:Pilgrimage, Witnessing something/someone holy
Barzakh:The place where the dead wait till doomsday (qayamat) to decide their fate in heaven or hell; A Promotion from hell in this context
Mayyat:Plank used to carry a Dead Body
Ghurbat:Poverty
Barbaad:Wasted
Barkat:Prosperity
Ghareeb-khaane:Poor(wo)man's cottage
Farsh-e-aza: The holy white blanket spread on the floor during majlis (mourning) in the month of Moharram to honour the dead prophet and his 72 followers who sacrificed their lives for Islam

2 comments:

Natansh Verma said...

I really dont manage to understand Urdu/Hindi anymore. I used to categorically state that I hate Hindi as a subject, but somewhere the hatred translated to Hindi, the language.

Amen. said...

Haww! How can you "hate" 'the language'? It is, after all, your language, right?
I can't hate any language... Languages are just so so so beautiful! There's no better way to understand culture than through language. Languages fascinate me beyond anything else... In the middle of very animate conversations, I stop abruptly and repeat words, chew on them taste them! Anyway, so what is your preferred language?